Dil ki takrar aisi thi
ki kch smajh na paye.
Dhadkan ki karah aisi thi
ki kch kah na paye.
Sath rahkar bhi unke hame
sahara na mila.
Dhundhte hi rah gaye,
ki hame kinara na mila.
Itne the karib ki
hame laga ki apne hain,
Jab aas tuti to
Pata chala ki ye to bas sapne hain.
Wo dekhte rah gaye ki,
unko nigaho me basa liya.
ab sans lena bhi mushkil hai,
unko jo sanso me basa liya.
uski ek hansi ne mujhe,
kaha se kaha pahuncha diya.
uske bichdne ke gam ne
mujhe ab shayar bana diya...........
No comments:
Post a Comment